Saturday, 18 August 2007

This is from the 1985 movie Saagar, music is by R D Burman and lyrics is by Javed Akhtar

O Chehra hai ya chand khila hai,
Zulf ghaneri shaam hai kya?
Saagar jaisi ankhonwali, ye to bata, tera naam hai kya?
Are tu kya jane teri khaatir, kitna hai betaab ye dil?
Tu kya jane dekh raha hai, kaise kaise khwab ye dil?
Dil kehta hai, tu hai yahan to, jata lamha tham jaye,
Waqt ka dariya, behte behte, iss manzar me jam jaye,
Tu ne diwana dil ko banaya, iss dil par ilzaam hai kya?
Saagar jaisi ankhonwali, ye to bata, tera naam hai kya?
Ho aaj main tujhse door sahi aur tu mujhse anjaan sahi,
Tera saath nahin paoun to, ghair tera armaan sahi,
Ho ye armaan hai shor nahin to, khamoshi ke mele ho,
Iss duniya me koyi nahin ho, hum donon hi akele ho,
Tere sapne dekh raha hu
In, aur mera ab kaam hai kya?
Saagar jaisi ankhonwali, ye to bata, tera naam hai kya?
Chehra hai ya chand khila hai,
Zulf ghaneri shaam hai kya?
Saagar jaisi ankhonwali, ye to bata, tera naam hai kya?

No comments:

The Birth Of India's Soul

 B R Ambedkar,  With steady hand,   Crafted justice for a divided land.   With ink and thought,  Through day and night,   He shaped a future...